Results 201 to 210 of 1030
-
02-07-2011, 02:49 PM #201
Aap صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ne fermaya k momin aik sooraakh se do (2) baar dang nahi khaata _
** reference = sahih bukhari volume # 3 ... page #447... Hadees # 1065 ...baab=639....kitabul-aadab***
~*~ plz forward it if u can ~*~
-
02-08-2011, 11:19 AM #202
Rasool Allah صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ne fermaya k Allah Taala ne kaha bani adam Zamaana ko gaaliyan deta hai halan k Zamaana Main hi hoon , raat aur din Merey hi kabza mein hai_
** reference = sahih bukhari volume # 3 ... page #466... Hadees # 1111 ...baab=657....kitabul-aadab***
~*~ plz forward it if u can ~*~
-
02-09-2011, 01:48 PM #203
Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ne fermaya hai k yeh baat bohat burri hai k koi kahey k main fala(n) fala(n) aayat bhool gaya balkey yoon kahey k main bhula diya gaya_
** reference = sahih bukhari volume # 3 ... page #51... Hadees # 33 ...baab=18....kitabul-tafseer***
~*~ plz forward it if u can ~*~
-
02-10-2011, 03:47 PM #204
Rasool ALLAH صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ne fermaya hai k surah Baqrah ki do (2) aakhri aayatein jo koi raat ko perhey ga to yeh ussey kaafi ho jaayein gi yaani her (aasaib se nijaat dilayein gi)_
** reference = sahih bukhari volume # 3 ... page #51... Hadees # 34 ...baab=19....kitabul-tafseer***
~*~ plz forward it if u can ~*~
-
02-11-2011, 02:20 PM #205
Rasool ALLAH صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ne fermaya Aey Abdullah Mujhey Quran suna _wo boley Aap mujh se sun-na chaahtey hain halan k Aap per Quran Shareef utaara gaya hai_ Aap ne fermaya Mujhey doosrey se sun-na acha maaloom hota hai_
** reference = sahih bukhari volume # 3 ... page #54... Hadees # 43 ...baab=24....kitabul-tafseer***
~*~ plz forward it if u can ~*~
-
02-12-2011, 05:10 PM #206
Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ko khaber mili k faaris k logo (people ) ne kasra (1) ki baity (daughtet ) ko baadshah bnaya hai to Aap (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ) ne fermaya k wo Qom kabhi falah nahi paaye gi jis ne hakoomat aurat k sapurd ki _
** reference = sahih bukhari volume # 3 ... page #821... Hadees # 1976 ...baab=1123....kitabul-fatan***
~*~ plz forward it if u can ~*~
-
02-13-2011, 02:38 PM #207
Huzaifa bin Yamaan se riwayat kertey hain , unho ne bayaan kiya k aaj kal k munafiqeen un se zayada burrey hain , jo Aanhazrat صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم k zamaana mein they , wo log us zamaana mein (apney bad amaal ) posheeda rakhtey they aur yeh log aaj alal-ailaan ker rahey hain _
** reference = sahih bukhari volume # 3 ... page #825... Hadees # 1986 ...baab=1127....kitabul-fatan***
~*~ plz forward it if u can ~*~
-
02-14-2011, 03:05 PM #208
Aap (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ) ne fermaya , qayamat qaayim na ho gi yahan tak k aik shakhs kisi ki qaber k paas se guzerey ga aur kahey ga k kaash main is ki jagah hota _
** reference = sahih bukhari volume # 3 ... page #826... Hadees # 1988 ...baab=1128....kitabul-fatan***
~*~ plz forward it if u can ~*~
-
02-16-2011, 02:32 PM #209
Rasool ALLAH صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ne fermaya k ankareeb deriyaayey furaat soney (gold ) ka khazaana nikaaley ga ,chunaachey jis shakhs ko miley wo us se kuch na ley
** reference = sahih bukhari volume # 3 ... page #827... Hadees # 1992 ...baab=1130....kitabul-fatan***
~*~ plz forward it if u can ~*~
-
02-17-2011, 02:54 PM #210
Rasool ALLAH صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ne fermaya , k Allah Taala apney bandon ki tauba per us shakhs se bhi zayada khush hota hai , jis ka jungle mein khoya hua ,oont (camel) ussey phir dobaara mil jaaye_
** reference = sahih bukhari volume # 3 ... page #817... Hadees # 1235 ...baab=741....kitabul-dawaat ***
~*~ plz forward it if u can ~*~



Reply With Quote
