Results 11 to 20 of 20
Thread: Namaz with urdu translation
-
08-01-2012, 12:57 PM #11
"""""""Namaaz mein """""Darood Pak (Sal LAllaho Alehey Wa aalehi Wasallam)
(Allahumma salli ala Muahmmadi-un Wa alaa Aaley Muhammad ka-ma salla-ita ala Ibrahima wa alaa Aaley Ibrahima inna-ka hameed-um Majeed...Allahumma barik ala Muahmmadi-un Wa ala Aaley Muhammad ka-ma Ba-rakta ala Ibrahima wa alaa Aaley Ibrahima inna-ka hameed-um Majeed)
Darood Pak (Sal LAllaho Alehey Wa aalehi Wasallam)"""""ka urdu mafhoom""""
Mafhoom:"Aey ALLAH TAALAA rehmat naazil ferma Muhammad Sal LAllaho Alehey Wa aalehi Wasallam per aur unki Aal per jis tarah Too ne Rehmat fermaayee ibrahim ( Alehey slaam) per aur Un ki Aal per bey Shak Too taarif k Laa-ik aur beri bazurgi ,azmat Waalaa hai-.....Aey ALLAH TAALAA berkat naazil ferma Muhammad Sal LAllaho Alehey Wa aalehi Wasallam per unki Aal per jis tarah Too ne berkat fermaayee ibrahim ( alehey slaam ) per aur Un ki Aal per bey Shak Too taarif k Laa-ik aur beri bazurgi ,azmat Waalaa hai-"
~*~ plz forward it if u can ~*~
-
08-02-2012, 09:48 AM #12
Thanx

==========================================================
-
08-02-2012, 03:31 PM #13
"""""""Namaaz mein """""Darood Pak (Sallaho Alehey Wa aalehi Wasalam) k baad perhi jaaney waali dua """""ki urdu translation""""
(Rabbij-alni muqeemas-salati Wa Min Zur-riyati Rab-ba-na wa taqab-bal duaa-ee Rab-ba-nag-firli wa-li-wa-li dayya wa lil-momi-neena yoma ya-koomul-hisaab)
Translation:"aey merey Rab mujhey namaaz ada kerney ki istakamat ata ferma aur meri aulaad ko bhi-aey humaarey Rab aur qabool ferma humaari dua-aey humaarey Rab meri bakhshish ferma aur merey maa baap ki bhi aur sab imaan waalon ki jis din jaza aur saza ka hisaab kiya jaayey ga """"
~*~ plz forward it if u can ~*~
-
08-02-2012, 07:27 PM #14
Nice

==========================================================
-
08-04-2012, 02:16 PM #15
"""""""Namaaz mein """""salaam ki translation
(as slaam oo alaikum wa rehmatullahi )
Translation:"salaam ho tum sab per aur ALLAH ki rehmat ho"
Namaaz mein salaam k baad perhi jaaney waali tasbeeh """""ki urdu translation""""
(Sub-han ALLAH)
mafhoom:" ALLAH Taalaa Ki zaat paak hai her aib se-"
(ALHAMDULILLAH)
mafhoom:"tamaam taarifein sirf ALLAH Taala hi k liyey hai-"
(ALLAHOO-AKBER)
mafhoom:" ALLAH Taalaa sab se buland ' bera aur aalaa hai-)
~*~ plz forward it if u can ~*~
-
08-04-2012, 04:22 PM #16
Nyc

==========================================================
-
08-06-2012, 08:11 AM #17
"""Namaaz mein """"
'''''Dua-e-Qunoot"""
Bismillahir-Rahma-NirRaheem -
(Allahhumma inna nasta-iinooka wa nastagfiruka wa noo minoo bika wa natwakkaloo alaika wa nusnee alaikal-khaira kullahoo wa nashkoorooka wa la nakfoorooka wa nakhla-oo wa natrookoo maiyn-yaf-joorook.Allahumma iyya-ka na-budoo wa laka nusalli wa nasjudoo wa ileyka nas-aa wa nahfidoo wa narjoo rahmataka wa nakhsha azabaka inna azabaka bil-kuffari mulhiq..)
"""Namaaz mein """"
'''''Dua-e-Qunoot""" ka urdu tarjuma
iLaahi ! hum Tujh se madad chaahtey hain aur Tujh se maafi maangtey hain aur Tujh per imaan rakhtey hain aur Tujh per bherosa kertey hain aur Teri bohat achi tareef kertey hain aur Tera shuker kertey hain aur Teri na shukri nahi kertey aur alag kertey hain aur chortey hain us shakhs ko jo Teri nafermaani kerey _ iLaahi ! hum Teri hi ibadat kertey hain aur Terey hi liye namaaz perhtey hain aur sajda kertey hain aur Teri hi taraf dortey aur jhapatatey hain aur Teri rehmat k umeedwar hain aur Terey azaab se dertey hain ' Beyshak Tera azaab kafiro ko pohanchney wala hai _
-
08-06-2012, 09:38 AM #18
Nyc

==========================================================
-
11-04-2012, 12:45 PM #19
-
11-07-2012, 05:05 AM #20Member
- Join Date
- May 2012
- Posts
- 63
subhan allah



Reply With Quote

